@Ahadesdaily

sayings of PROPH.MUHAMMAD PBUH

Ask @Ahadesdaily

Sort by:

LatestTop

Previous

Hadess No.86 ( yawning/jamai ko rokna )

Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jamhayee (Yawning) shaitan ki taraf se hai, isliye jab kisi ko jamhayee aaye to jahan tak ho sake roke kyunki jab koi (jamhayee lete huye) Haaaa karta hai to shaitan us par hansta hai.
.
.
Sahih Bukhari, Vol 4,3289

Related users

Hadess No.85 ( Pehli saff , Fajar aur ishaa ka sawab )

Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya
Agar logon ko malum ho jaye ki adhan kahne aur namaz pahli saf mein parhney se kitna sawab milta hai to unke liye Qurra dalney ke siwa aur koi chara baqi nahi rahta aur us par wo qurra andazi hi karte
aur agar logon ko malum ho jaye ki namaz ke liye jaldi aane mein kitna sawab hai to uske liye ek dusrey se aage badhne ki koshish karte ,
aur agar logon ko malum ho jaye ki Isha aur Fajar ki namaz ka jamaat ke saath kitna sawab hai to ghaseet-tey huye ( by crawling) aana parhta to bhi aatey
.
.
Sahih Bukhari, Vol 1,

Hadess No.84 ( jisam ki hadiun ka sadqa )

Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam ne farmaya Insaan ke badan ke har jod (joints) par har us din ka sadqa wajib hai jismein suraj Tulu hota hai aur logon ke darmiyan insaaf karna bhi ek sadqa hai.
.
.
Sahih Bukhari, Vol 4,2707

Hadess No.82 ( Saakhi k lie Dua )

Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya koi din aisa nahi jata ki jab bande subah ko uthtey hain to do farishte aasman se na utarte ho, ( yani har roz do farishtey subah ko aasman se utartey hain) unmein se ek farishta ye kahta hai ki Eh ALLAH kharch karne wale ko iska badla de aur dusra kahta hai ki eh ALLAH bakhil (kanjus) ko tabah kar de
.
.
Sahih Bukhari, Vol 2, 1442

Hadess No.78 ( NABI S.A.W ki dua )

Abdullah bin umar Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ki dua ye thi : Ya Allah main Panaah maangta hun teri Naimat ke zawal se, aur teri di huyee Aafiyat aur sehat ke palat janey se ,aur tere naaghani Azab se , aur sab tere ghazab (gussey) waley kaamon se.
.
.
.
Sahih Muslim , 6943
Sunan Abu Dawud , Vol 1, 1532

Hadess No.78 ( namaz aur Nafli ibadat ki ahmeyat )

Mafhome Hadees: Qiyamat k din Banday se Pehlay iski Namaz ka hisab hoga,JsKi Namaz sahi hoi to wo kamyab hoga,Agar Namaz kharab hoi to wo nakam o Na-Murad hoga,Agar banday k faraiz mai kuch kami hoi to ALLAH farmaye ga,Mere banday k Nama e Aamal me dekho koi nafal ibadat hay? Agar hoi to Nawafil k sath faraiz ki kami pori ki jayeGi .
.
.
(Tirmazi, Kitab us Salat,H#413)

Hadess No.72 ( Imaan pay Maut )

Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis nafs ko bhi is haal mein maut aaye ki wo is baat ki gawahi deta ho ki Allah ke siwa koi mabud nahi aur main (Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam) Allah ka rasool hu aur ye gawahi dil ke yakeen se ho to Allah subhanahu uski maghfirat farma denga
.
.
.
Sunan ibn Majah, Vol 1, 677-Hasan

Haess No. 71 ( Dua ki qabooliat aur adaaab )

Nabi kareem s.a.w. Ne farmaya" tm main se her aik ki duwa qabol hoti hai. Agar tm jalid bazi na karo. (Ar jalid bazi ye hai jb) Duwa karney wala kahney lagta hai k main ne(bht) duwa ki mgr mare duwa qabol ni hoye.
.
.
(Bukhari)
koshish yehi hony chahyea k dua sy pehly aur akhir main darood e Pak parha jae aur dua main apni naikiun ka zikar b kia jae.... jazakALLAH

Hadess No. 69 ( waldeen ki raza aur narazgi )

Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanahu ki raza walid ( ya waldein) ki khushi mein hai aur Allah subhanahu ka gussa Walid ( ya waldein) ki narazgi mein hai
.
.
Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1960 ( Hasan)

Hadess No.68 ( ALLAH ki mohabbat )

Muadh bin Jabal Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanahu farmata hai mere liye aapas mein muhabbat karney walo ke liye noor ke mimbar hongey jin par Anbiya aur shohda (Shaheed) bhi rashk karengey
.
.
.
Jamia Tirmidhi, Vol 2, 274-Sahih

Next

Language: English