@Danyal_H

دانیال

Ask @Danyal_H

Sort by:

LatestTop

Previous

Related users

کچھ تو کہو!

Kehta hun men k ehd ka ehtaraam krta hon
Par khud ka khud se ehd kiya so baar torta hon
Kehta hun men k izzat krta hon men khudki
Par so baar apni khudi ko khud hi tabaah deta hon
Bechta hon men khud ko har lamha
Har lamha sabr k phal k bais pee leta hon
Par phir khud se yeh swaal krta hon
Akhir kab tak men khud ko khudi khwaar karun ga?
Zindagi se boht kuch chahta hon men
Par phir akhir zindagi se chahta kya hon men?
Kya din the woh jb gham sirf aik khilonay ka na milna tha
Ab har lamha hi gham sa guzarta hai
Kehtay likh do to dil halka hoga
Swaal men khud se krta hon, dil bhara hi kb tha jo halka ho?
Sochta hon behtar hai sab
Par kya behtar hai sab?
Kya ankhein band krne se kabootar mehfooz hai?
Boht se swaal khud se krta hon Jwaabon ki talaash men hi so jata hon
Haan boht bura hon men khud hi k liye
Par kya men waqai khud k liye bura hon?
Muskura sa deta hon khud pr jb subh ko bedaar hota hon
Or phir jwaabon ki talaash men dobara din ka aghaaz krta hon

View more

Next

Language: English