@ali97sak

ali97sak

Ask @ali97sak

Sort by:

LatestTop

Related users

-

ali97sak’s Profile Photoali97sak
A tribute to Edhi fron my side.
!ایدھی
ذخیرۂ الفاظ قلیل ہے میرا
اک قلم کی نوک سے کیا لکھوں
انسان کہوں یا فرشتہ کہوں میں
یا مسیحائے خلق۔خدا لکھوں
فرش پہ غم ہے تو ہے عرش پہ عید
آمد۔ ایدھی کا جشن جاری ہے
خدا کی قسم! روتا ہے آسماں
روئے زمیں سب پر رقت طاری ہے
وہ بچے وہ لاوارث کدھر جائیں گے
جن کی ولدیت میں ایدھی ترا نام ہے
آ بیٹھیں گے تیری لحد پہ یتیم سارے
آج سارے شہر میں قہر کی شام ہے
غریبی کا لبادہ اوڑھے اک فقیر
آج نظر آتا ہے کہ کتنا امیر تھا
کہ آگے آگے اک جسد خاکی رواں تھا
اور پیچھے پیچھے اک جم غفیر تھا
سلام ہے ایدھی! اے بابائے خدمت
میں تیری عظمت پہ با رہا لکھوں
ذخیرۂ الفاظ تو قلیل ہے میرا
اک قلم کی نوک سے کیا لکھوں
(شیراز~)

-

ali97sak’s Profile Photoali97sak
I swear I never cried on death of any famous person. Today, yes i did. I never saw my father that much emotional before. He cried too. And i know everyone in this sacred country has same feelings. Aasman roye ga or zameen girya krey gi. No EIDHI anymore. Inna lillahi wa inna ilaihi rajioon.
Aesay logon ka waqt udhaar hota hai insaaniyat pr, qarz hota hai jo wajibul ada rehta hai. Zameen pr Eidhi se bara koi be los khidmat krney wala insaan balkey farishta bhi nahin ho skta.
My favourite personality is no more. Today i feel like i am Faisal Eidhi. I feel i have lost something which is irreplaceable.
Edhi sahb! Rest in peace.
I swear I never cried on death of any famous person Today yes i did I never

ap ny kaha tha happy happy poetry bhi share kar lunga

Teri hamrahi thi to har gham jheeltay the
Har saza iss jurm ki qubool hwa krti thi
Yeh taseer thi teri ya sohbat ka asar tha
Har sada, har dua bhi qubool hwa krti thi
Tu sath tha to har nashist mein meri
Sitaray utar ke aasmanon se dekhtey the
Hotey the kuch chahney waley teray
Jo hasrat bhari nigahon se dekhtey the
Woh qamar ki chaudhween or shab e wasl
Raat bhar teray pehlo nasheen hote the
Hijr ki taveel musaafiton ke baad
Teray hijray ke makeen hotey the
Ik musawwar tha ke jo teray
Gaeso ko tasawwur mein kham deta tha
Ik adab ka pujari bhi teray
Afsaney ko takkhayyul mein janam deta tha
Han jo teray khumaar nashey mein gum the
Sharabi sab madhoosh parey rehtey the
Tjhe dewata smjh kr chand beganey
Teray darbar mein khamosh kharey rehtey the
Teri aankh ka kaajal jb nikhraa sa jaata tha
Teri chamak aankhon ko chundiya deti thi
Teray marmareen badan ki dil nasheen adaa
Bhasm krti thi, har shaijala deti thi
Teray saath kuch aesi hamnawaai thi
Teray pehlu se nathi ba zanjeer hwa krtey the
Khaamosh hotey the yun teray muqabil
But hotey koi ya tasveer hwa krtey the
Teri deed ka shoq e intezaar aesa tha
Dil pe teeron ke ghai hazaar lgtey the
Teri zeest ki ik ik adaa ke baais
Teray muhalley mein girebaonon ke anbaar lgtey the
Teri poron se arq peenay walon ko
Koi saqi nashey mein gira nahin skta
Wesay to har dard ki duniya mein dawa hai Sheraz~
Magar ishq ki dawa koi bna nahin skta
Naam-e-wafa
(Sheraz Ali)

View more

Liked by: ali97sak

Next

Language: English