@zarbab123

Zarbab Ali

Ask @zarbab123

Sort by:

LatestTop

Previous

marzi h

Raston ki Marzi hai
Be-Zameen Logon ko
Be-Qarar ankhon ko
Bad-Naseeb Qadmon ko
Jis Taraf bhi le jaye
Raston ki Marzi hai
Be-Nishan Jazeeron per
Bad-Gumaan Shehron mai
Be-Zuban Musafir ko
Jis taraf bhi Bhatka dain
Raston ki Marzi hai
Rok dain ya barhne dain
Thaam lain ya Girne dain
Wasal ki Lakeeron ko
Tor dain ya Milne dain
Raston ki Marzi hai
Ajnabi koi la ker Humsafar bana dain
Saath chalne walon ki Raakh bhi ura dalain
Ya Musaftain sari Khaak mai mila dain
Raston ki Marzi hai.........

Related users

dont smoke

Yeh cigarette shauq hai,meri adat nehi
Yeh jazbat jagati hai tabhi peeta hun
Aadhi raat ke waqt main pagal to nahi
Kisi ki yaad satati hai,tabhi peeta hun
Is cigarette main Fazeelat to koi nahi
Yeh fikar mitati hai tabhi peeta hun
Main janta hun mujhe kuch nahi milna is se
Ye meri umer ghatati hai tabhi peeta hun
Yeh cigarette shauq hai,meri adat nehi
😊😊

Next

Language: English