Koi acha sa shair suna do. (MOOD)
Shayari nahi ati.
Paas aaney per woh insaan b na lagey...
Door se jo log farishtey jaisey the...
mohabbat ka asar hoga,
ghalat fehmi main mat rehna,
wo badle ga rukh apna,
ghalat fehmi main mat rehna.
tasalli bhi usay dena,
ye mumkin hai main laut aaoon,
magar ye bhi usay kehna,
ghalat fehmi main mat rehna.
tumhara tha tumhara hoon….
tumhara hi rahoon ga main,
mere baare main is darja
ghalat fehmi main mat rehna.
mohabbat ka bharam toota to
ab chuup chuup k kyun rotay ho
tumhain hum ne kaha tha na.
ghalat fehmi main mat rehna...!
Unki nigah e naaz ko hum se ye maan tha ke aap, umar guzar dejye.. umar guzar di gei!!!!
Nai ma ghalib hoon?
wafa ki talaash mat karo sahib yeh zamana be wafaon ka hai