Thora thak gaya hoon door nikalna chor diya hai, Par aisaa nahe k meinay chalna chor diya hai. Faaslay aksar rishton mein doori barha detay hein, par aisa nahe k meinay apnon say milna chor diya hai. Haan zara akela hoon duniya ki bheer mein, par aisa nahe k meinay apnaa pan chor diya hai. Yaad karta hoon apno ko,parwa bhi hai man mein. Bus kitna karta hoon yeh batana chor diya hai