Apny phly pyar ky nam kuch dedicate karo❤?agr ni hy tu muje kuch dedicate kar do??
Piyar ka tou pta nahi hand kafi martaba ho chukay hain iss k naam pr.. Aik hi gana zehan mai ghumta ha ab Zindagi ki talaash mai hum.. Haqeeqt k kitnay pas a gye..
Neya ek rabt-paida kiyun karen hum, Bicharna ha tou jhagra kiun karen hum,Khamoshi sy adaa ho rasm-e- doori, Koi Humgama barpaa kiun karen hum,Yeh kafi ha k hum dushman nahi hain Wafadari ka davaa kiun karen hum, Wafa, ikhlaas, qurbani, mohabbat, Ab in lafzo ka peecha kiun karen hum, Humari hi tamanna kiun karo tum, Tumhari hi tamanna kiu karen hum, Kiya tha ehad jab lamhoo mai hum nay, Tou saari umar iffa kiun karen hum, Nahi Duniya ko parwaa humari agar, Tou duniya ki parwaa kiun karen hum, Ek neya rabt-paida kiu karen hum, Bicharna ha tou jhagra kiu karen hum.