@MuhammadUmair211#70 🇵🇰

Umair !

Ask @MuhammadUmair211

Sort by:

LatestTop

Previous

Related users

-KHAMOSHI

MuhammadUmair211’s Profile PhotoUmair !
 Chup tha wo magr, bol rahi thi ankhen
 Kuch alag hee rung, ghol rhi thi ankhen
 Ek ajab si khamoshi thi us raat mei tab
 Khamosh aur bhi guzri thi bht si raten
.
 Jazbaat thay, alfaaz nahi thay lakin
 Main paas tha, wo paas nahi thay lakin
 Kia kahun, kitna dilkash, manzar tha
 Narazgi thi, naraaz nahi thay lakin
.
 Sard raat thi, paseena tha paishani par
 Hairan main tha bht, unki us hairaani par
 Dil pe haath rakh kar mere, wo yun ashkbaar huey
 Chonk uthay thay wo meri sansoun ki rawani par
 Batany ko mere paas bht kuch tha magr
 Kaanp uthna tha usne, meri us kahani par
.
 Ankhoun ki zubaan, mujhko samajh mei ai
 Hontoun pe nahi, baat nazar mei ai
 Doob k us ki ankhoun main mujhe yakeen aya
 Wo jo baat thi, wo baat samajh mei ai
.
 Chup tha wo magr, bol rahi thi ankhen
 Kuch alag hee rung, ghol rhi thi ankhen

View more

Next

Language: English