@haniaakhter

Hani Jee

Ask @haniaakhter

Sort by:

LatestTop

Related users

Random thoughts? ?

A_Raffay786’s Profile PhotoABDUL RAFFAY
Hamari saari khushyan iss digital dunya ke wajood mein ane ke baad se sirf ishi ka hissa ban ke reh gye. Hamne ab lamho ko mehsoos krna chor dia hai, kio ke wo phone se kheeche jaane wali tasaweer hii ab aik markazi kirdaar apnati hai hamari zindagi mein. Ham kitne Haseen hai, konse Dost hai hamare, konse Khane ham khate hai, aur konse Brands ham Zeb Tann karte hai, ye jaan ke na hii loggo ke sha'oor mein koi behtari ani hai, na hii iss Mulk ke roz marrah ke jan lewa masail ne khatam ho jana hai. Najane sab aik hii dhun mai kio bhaage ja rhe hai..!?

I want to study neuroscience... Do u think neuroscience has a good scope???

aishasiddiq01’s Profile Photoaisha
Scope kisi bhi field ka pehle se nhi bana hota wo uss mein jane wale Insaan ki contribution se bana jata hai, aj tak jitni bhi fields iss dunya mein hai wo sab kisi na kisi ki qabilyat ki waja se wajood mein aye, aur qabilyat toh har insaan mein hoti hai. Hamari soch kio kisi scope ki field mein jaane tak mehdood ho jati ham khud bhi toh koi field of subject ho sakte hai.

According to You,Girls ku parda karna chahea k nahe?Aksar girls bal aur chehra kula chorr key gomtey rehtey hai. kia islam mai iskey ijezat hai?toba karlo yar,pata nahe k kab maaot ayegey.maira personal view ye hai k agar girls teek hogaey, to boys khud hey teek hojaengey .iam really sorry if u hurt

Yahaa pr aik hii baat kehna chahu gin
"KITNI GHAREEB HAI WO AMEER KI BETI JIS KE PAAS,DHAPNE KE LIYE KAPRA NHI HAI"

-

haniaakhter’s Profile PhotoHani Jee
@hilliya_umer was my very close friend, back in 2016 we used to talk every day on Kik. Mjhy nhi pata meri kaise uss se achanak dosti ho gae lekin ache log aap ki Zindagi mein achanak hii ate hai, Uss time wou Lahore mein rehti then she went to America for further studies, uss ne apni zindagi mein buhat mushkil waqt dekha lekin kabhi hosla nhi haari, aur mjhy bhi hamesha apni baato se hosla deti thi, I remember once there was a guy who sending me shit messages on kik and I told that to Hilliya and she talked to him and told him not to tease me again. She was a genuine friend, America jane ke baad meri uss se baat nhi hoti thi regularly because she deactivated her kik but I still had a check on her through ask, and mjhy uske chale jaane ki khabar se shadeed sadma hua hai, buhat kam log aise apki zindagi mein ate hai jo mile bghair bhi apke itne qareeb hote hai, I wish uski iss takleef wale waqt mein, mein uske saath hoti. Lekin jo Allah ko Manzoor, Allah usko Jannat mein behtareen darja ata kare, aur mein yahi kahoon gi even if you have friends on social media aur in your real life please always keep a check on them, we never know kon kis takleef se guzar raha hota hai, iss se pehle buhat der ho jaye.

View more

Next

Language: English