Betha tha, unki soch thi Soya toh unka khawab tha Rehta tha uske nashay mei gum Wo shaks tha k sharab tha ? Sab bhool gya uski yaad mei Wo shakhs bss, mjhe yaad tha Meri zindgi, bani kashmakash Tu sukoon tha k azaab tha ? . Yahi iltija hai meri tujhe Tu kabhi mile, tu kahin mile Mujhe dekh kr yun, muskura dena Jese main tujhe, abhi yaad tha . Ye baat dil k sukoon ki hai Nahi janta maine kyun ki hai Ziada soch mat, meri baat par Jo bhi baat hai, bss yun e hai . Tujhe sochne ki, jo lat lagi Manta hun tujhko, ghalat lagi Mera intezar, khatam toh kar Tu ek baar, palat sahi Mei toh jeeta hun, teri yaad mei Tu ghalat samajh, ghalat sahi . Lgta mujhe, main nashay mei hun Toota hai dil, main mazay mei hun Logoun ko jo, ansu lagay Mujhko laga, wo aab tha Meri zindgi, bani kashmakash Tu sukoon tha k azaab tha ?